nikohish hai saza fariyaadi-e-be-dad-e-dilbar ki mabaada khanda-e-dandan-numa ho subh mahshar ki rag-e-laila ko khak-e-dasht-e-majnun reshgi bakhshe agar bowe baja-e-dana dahqan nok nishtar ki par-e-parwana shayad baadban-e-kashti-e-mai tha hui majlis ki garmi se rawani daur-e-saghar ki karun be-dad-e-zauq-e-par-fishani arz kya qudrat ki taqat ud gai udne se pahle mere shahpar ki kahan tak roun us ke kheme ke pichhe qayamat hai meri qismat mein ya-rab kya na thi diwar patthar ki ba-juz diwangi hota na anjam-e-khud-arai agar paida na karta aaina zanjir jauhar ki ghurur-e-lutf-e-saqi nashsha-e-be-baki-e-mastan nam-e-daman-e-isyan hai tarawat mauj-e-kausar ki mera dil mangte hain aariyat ahl-e-hawas shayad ye jaana chahte hain aaj dawat mein samundar ki 'asad' juz aab-e-bakhshidan ze-dariya khizr ko kya tha dubota chashma-e-haiwan mein gar kashti sikandar ki