jin pe ajal tari thi un ko zinda karta hai suraj jal kar kitne dilon ko thanda karta hai kitne shahr ujad jate hain kitne jal jate hain aur chup-chap zamana sab kuchh dekha karta hai majburon ki baat alag hai un par kya ilzam jis ko nahin koi majburi wo kya karta hai himmat wale pal mein badal dete hain duniya ko sochne wala dil to baitha socha karta hai jis basti mein nafsa-nafsi ka qanun chale us basti mein kaun kisi ki parwa karta hai pyar bhari aawaz ki lai mein maddham lahje mein tanhai mein koi mujh se bola karta hai us ek sham-e-farozan ke hain aur bhi parwane chand akela kab suraj ka halqa karta hai ruh barahna nafs barahna zat barhana jis ki jism pe wo kya kya poshaken pahna karta hai ashkon ke sailab-e-rawan ko 'akbar' mat roko bah jae to bujh ye dil ka halka karta hai