jin ki hasrat mein dil-e-ruswa ne gham khae bahut sang hum par in darichon ne hi barsae bahut raushni madum gahre ho chale sae bahut jaane kyun tum aaj ki shab mujh ko yaad aae bahut qismat-e-ahl-e-qafas phulon ki khushbu bhi nahin yun to gulshan mein saba ne phul mahkae bahut log is ko bhi agar kahte hain to kah len bahaar muskurae kam shagufe aur murjhae bahut ek aansu bhi gire to gunj uthti hai zamin aaj to hum apni tanhai se ghabrae bahut ek rasm-e-sarfaroshi thi so rukhsat ho gai yun to diwane hamare baad bhi aae bahut ishrat-e-hasti pe thi 'mahtab' duniya ki nazar dil ko kya kahiye ki us ne dard apnae bahut