nikal ke ghar se aur maidan mein aa ke zara kuchh dekhiye tewar hawa ke koi zinda raha hai kab jahan mein charagh-e-dil ko apne khud bujha ke hamari khamushi bhi ek nawa thi mile kab sunne wale hain nawa ke pashiman ek muddat tak raha hai koi dar se mujhe apne utha ke ye dil hai dil ise sine mein hargiz kabhi rakhna na tum patthar bana ke 'faraaz' aksar raha karta hai tanha andhere mein charagh-e-dil jala ke