na dasht dasht ki surat na ghar hai ghar ki tarah badal gai hai har ek shai teri nazar ki tarah hai lamha lamha ek anjaan rahguzar ki tarah guzar rahe hain shab-o-roz bhi safar ki tarah wahi muhib andhera wahi dilon pe hiras nai sahar bhi nahin dosto sahar ki tarah dhali hai raat magar mere ghar ka darwaza khula hua hai abhi chashm-e-rah-guzar ki tarah shikast-o-rekht ke ba-wasf hum khade hain abhi fasil-e-shahr ke derina baam-o-dar ki tarah na harf aane diya aabru-e-fan pe kabhi hum anjuman mein rahe harf-e-mo'tabar ki tarah tilism-e-lala-o-gul ta fareb-e-dam 'afzal' main har maqam se guzra hun dida-war ki tarah