jin ki zindagi daman tak hai bechaare farzane hain khak udate phirte hain jo diwane diwane hain wahdat-e-insan apne ko shair se manwa leti hai kya anjaane kya begane sab jaane-pahchane hain mujh ko shair kahne walo main kya meri ghazlen kya main ne to bas sarkar-e-ishq mein kuchh parche guzrane hain bhole-bhaale mahbubon se danw-pech kuchh chal na saka hum ye samajhte rahe abhi tak hum bhi kitne siyane hain hosh-o-khirad kya josh-e-junun kya ulti ganga bahti hai kya farzane kaise siyane yaro sab diwane hain jal-bujhne ki bhi taufiq kahan ushshaq ki qismat mein ek an-dekhi sham-e-bazm ke dil wale parwane hain shair se hamdardi sikho duniya ke gham-khane mein jitne gham hain duniya bhar mein is ke mane-jaane hain shahr-e-nigaran shahr-e-nigaran kaun batae kaisa hai puchhte ho kya hum se yaro hum bhi to begane hain bas wo unhi se fitrat ko khalon ke libas pahnata hai shair ke palle kya hai giton ke tane-bane hain kitne begane hote hain ye jaane-pahchane log jaane hue bhi ba-qaul hamare anjaane begane hain aaj se pahle kab the watan mein be-watani ke ye lachchhan logon ko ye kahte suna hai ghar bhi ghurbat-khane hain kuchh nahin khulta kis ki zad mein ye hasti-e-gurezan hai hum jo itne bache phirte hain kin tiron ke nishane hain is gum-karda-e-dida-o-dil ko kal tak kitne jaante the ab to 'firaq'-e-be-khud ke aalam aalam afsane hain