mile hain harf bas itne mujhe bayan ke liye gali ki raushni jaise kisi makan ke liye chalo ki chal ke kisi dasht ko karen aabaad faza-e-shahr to qatil hai jism-o-jaan ke liye hamare dar ki sabhi dastaken rahin mahfuz tamam-umr kisi dast-e-mehrban ke liye sabhi ko meri tarah ishq ka nahin idrak samundaron ka safar hai jahaz-ran ke liye hawa-e-bahr had-e-bahr se nikal na saki kabhi utha jo koi abr shahr-e-jaan ke liye ajib baat makinon ko kuchh khabar na hui gali mein boliyan lagti rahin makan ke liye usi jahan ki mohabbat mein mar gae 'khawar' kiya na kaam koi tum ne is jahan ke liye