main to aisa koi manzar kabhi dekha na tha din dhala jata tha aur saya koi lamba na tha phir to us ke samne jaise koi rasta na tha jitne wala kabhi yun hausla haara na tha log to kahte the lekin main bhi to andha na tha main ne khud dekha hai mere dhad pe bhi chehra na tha rokna chaha tha main ne wo bhi ruk jata magar ek jhonka tha hawa ka wo thahar sakta na tha kitne hi kachche ghade lahron ko yaad aane lage sahilon ke honton par aisa koi nauha na tha god mein maon ki bachche raat-bhar rote rahe pas poton waliyon ke kya koi qissa na tha