kahkashan ke tanazur mein hum kya hamara sitara hai kya an-ginat aaftabon ki aqlim mein ek sharara hai kya kaun samjhe zaban barg-o-ashjar ki dasht-o-kohsar ki kaun jaane ki is be-karan khamushi mein ishaara hai kya hum mohabbat ko ek mansab-e-ashiqana samajhte rahe ye na socha mohabbat ki saudagari mein khasara hai kya ye tilism-e-tamasha hai sara jahan ek tilism-e-nazar raushni ka samundar hain aankhen magar aashkara hai kya wo hai be-misl us ko usi ke hawale se samjha karo us ke idrak mein dakhl-e-tashbih kya istiara hai kya ek mitti ke ghar mein jiye umr bhar aur mitti hue kul jahan yun to 'akbar' hamare liye par hamara hai kya