jis ki hasrat thi use pa bhi chuke kho bhi chuke ab kisi chiz ka hum ko nahin arman hota shiddat-e-dard hi hoti kahin ghaarat-gar-e-hosh bakht itna to na barham-zan-e-saman hota chaara-gar koshish-e-be-sud hai tadbir-e-ilaj hum na hote to maraz qabil-e-darman hota aa hi jata hai bure waqt mein apnon ko khayal koi hota jo hamara bhi to pursan hota puchhte kya ho sabab dafn-e-dil-e-zar ke baad main musibat-zada ab bhi na hirasan hota rone walon ko to taqdir se ro baithe the ai ajal kaun hamare liye giryan hota gham ko ab rakhiye kahan zist kahin zist bhi ho khatm qissa hua jis ka ki ye unwan hota hum to is baat pe raazi the magar ai 'natiq' nafs-e-kafir bhi kisi tarah musalman hota