junun-e-ishq ka jo kuchh hua anjam kya kahiye

junun-e-ishq ka jo kuchh hua anjam kya kahiye
kisi se ab ye rudad-e-dil-e-nakaam kya kahiye

phiri kyun kar nigah-e-saqi-e-gulfam kya kahiye
bhari mahfil mein asbab-e-shikast-e-jam kya kahiye

ye kaisi dil mein hai ek zulmat-e-be-nam kya kahiye
bujha kyun dafatan az-khud charagh-e-sham kya kahiye

taghaful par wo do harf-e-shikayat bhi qayamat the
zamane bhar ke hum par aa gae ilzam kya kahiye

mera dard-e-nihan bhi aaj ruswa-e-zamana hai
ek aah-e-zer-e-lab bhi ban gai dushnam kya kahiye

dar-o-diwar par chhae hue hain yas ke manzar
dayar-e-namuradi ke ye subh-o-sham kya kahiye

jahan-e-arzu bhi rafta rafta ho chala viran
ek aaghaz-e-hasin ka aah ye anjam kya kahiye

umid-o-yas mein ye roz-o-shab ki kashmakash tauba
ba-har-lamha fareb-e-gardish-e-ayyam kya kahiye

ye kis ke dar se tane mil rahe hain sajda-o-sar ko
ye kis dar par hai zauq-e-bandagi badnam kya kahiye

kahan ka shikwa-e-gham hum to bas shukr-e-sitam karte
magar shukr-e-sitam ka bhi hai jo anjam kya kahiye

ada-e-bad-gumani bhi sarisht-e-ishq hai lekin
ye kyun kar ban gai minjumla-e-ilzam kya kahiye

rahenge hashr tak mamnun-e-ehsan-e-dil-azari
khulus-e-ishq par ye qimti inam kya kahiye

badhi jati hai ab to aur bhi kuchh duri-e-manzil
achanak nau-ba-nau-dushwari-har-gam kya kahiye

wo apni sai-e-tajdid-e-junun bhi raegan thahri
bas ab aage maal-e-hasrat-e-nakaam kya kahiye

na samjhe aaj tak rang-e-mizaj-e-yar-e-be-parwa
magar phir bhi zaban par hai usi ka nam kya kahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close