jins-e-giran ko tujh se jo log chahte hain we rog apne ji ko nahaq basahate hain us mai-kade mein hum bhi muddat se hain wa-lekin khamyaza khinchte hain har dam jamahate hain namus dosti se gardan bandhi hai apni jite hain jab talak hum tab tak nibahte hain sahal is qadar nahin hai mushkil-pasandi meri jo tujh ko dekhte hain mujh ko sarahte hain we din gae ki raaten nalon se katte the be-dol 'mir'-sahib ab kuchh karahte hain