kis rah gaya laila ka mahmil nahin malum hai baadiya reg aur hamein manzil nahin malum main hashr ke din dawa khun kis se karunga wo kushta hun jis kushta ka qatil nahin malum niklen hain mere dil ke tadapne mein adaen hai kis ki nigahon ka ye bismil nahin malum tha ru-e-dil-e-khasta to shab meri taraf ko kab ho gaya mizhgan ke muqabil nahin malum wo bahr hai dariya-e-sarishk apna ki jis ka pahna hi nazar aawe hai sahil nahin malum mar jaun ki jita rahun main hijr mein tere kis chiz ka khwahan hai mera dil nahin malum aankhon se guzara hai jo yun lakht jigar ka aate hain chale kis ke ye ghael nahin malum kya jaaniye kya us mein teri aankhon ne dekha kyun ho gain aaine ki mail nahin malum ai 'mushafi' afsos ki is hasti pe hum ko tahsil-e-wafadari ka hasil nahin malum