meri bhanwon ke ain darmiyan ban gaya jabin pe intizar ka nishan ban gaya suna hua tha hijr mustaqil tanaw hai wahi hua mera badan kaman ban gaya muhib chup mein aahaton ka wahima hawa main sar se panw tak tamam kan ban gaya hawa se raushni se rabta nahin raha jidhar thin khidkiyan udhar makan ban gaya shurua din se ghar main sun raha tha is liye sukut meri madari zaban ban gaya aur ek din khinchi hui lakir mit gai guman yaqin bana yaqin guman ban gaya kai khafif gham mile malal ban gae zara zara si katranon se than ban gaya mere badon ne aadatan chuna tha ek dasht wo bas gaya 'rahim' yar-khan ban gaya