jis anjuman mein dekho begane rah gae hain ginti ke log jaane pahchane rah gae hain kal jin haqiqaton se mahaul mo'atabar tha aaj un haqiqaton ke afsane rah gae hain ab ghaarat-e-chaman mein kya rah gaya hai baqi kuchh pairahan-darida diwane rah gae hain tarikh-e-ahd-e-rafta bil-ikhtisar ye hai gulshan jahan jahan the virane rah gae hain 'iqbaal' dhundhte ho tum jin ko mahfilon mein un ki jagah ab un ke afsane rah gae hain