kahan rukenge musafir nae zamanon ke badal raha hai junun zawiye udanon ke ye dil ka zakhm hai ek roz bhar hi jaega shigaf pur nahin hote faqat chatanon ke chhalak chhalak ke badha meri samt nind ka jam pighal pighal ke gire qufl qaid-khanon ke hawa ke dasht mein tanhai ka guzar hi nahin mere rafiq hain mutrib gae zamanon ke kabhi hamare nuqush-e-qadam ko tarsenge wahi jo aaj sitare hain aasmanon ke