jis din se apna tarz-e-faqirana chhut gaya shahi to mil gai dil-e-shahana chhut gaya koi to gham-gusar tha koi to dost tha ab kis ke pas jaen ki virana chhut gaya duniya tamam chhut gai paimane ke liye wo mai-kade mein aae to paimana chhut gaya kya tez-pa the din ki tamazat ke qafile hathon se rishta-e-shab-e-afsana chhut gaya ek din hisab hoga ki duniya ke waste kin sahibon ka maslak-e-rindana chhut gaya