junun ka rang bhi ho shola-e-numu ka bhi ho sukut-e-shab mein ek andaz guftugu ka bhi ho main jis ko apni gawahi mein le ke aaya hun ajab nahin ki wahi aadmi adu ka bhi ho wo jis ke chaak-e-gareban pe tohmaten hain bahut usi ke hath mein shayad hunar rafu ka bhi ho wo jis ke dubte hi naw dagmagane lagi kise khabar wahi tara sitara-ju ka bhi ho subut-e-mohkami-e-jaan thi jis ki burrish-naz usi ki tegh se rishta rag-e-gulu ka bhi ho wafa ke bab mein kar-e-sukhan tamam hua meri zamin pe ek marka lahu ka bhi ho