jo bel mere qad se hai upar lagi hui afsos har bisat se bahar lagi hui us ki tapish ne aur bhi sulga rakha hai kuchh jo aag hai makan se bahar lagi hui sunte hain us ne dhundh liya aur koi ghar ab tak jo aankh thi tere dar par lagi hui pahchan ki nahin hai ye irfan ki hai baat takhti koi nahin mere ghar par lagi hui ab ke bahaar aane ke imkan hain ki hai har pairahan pe chashm-e-rafu-gar lagi hui is bar tul khinch gai jang agar to kya is bar shart bhi to hai badh kar lagi hui manhus ek shakl hai jis se nahin farar parchhain ki tarah se barabar lagi hui tere hi chaar samt nahin hai hisar-e-jabr pabandi-e-jamal hai sab par lagi hui