jis din se meri tum se shanasai hui hai

jis din se meri tum se shanasai hui hai
us din se meri aur bhi ruswai hui hai

tum ne hi nazar bhar ke nahin dekha hai mujh ko
aise mein bhala khak pazirai hui hai

qissa jo naya pas koi hai to sunao
ye baat to sau bar ki dohrai hui hai

chahun bhi to main tod nahin paungi is ko
rasmon ki ye zanjir jo pahnai hui hai

tu ne bhi udai hai hasin zindagi meri
tu bhi to mere gham ki tamashai hui hai

sach puchho to badnam hue nam ki khatir
shohrat se ziyaada meri ruswai hui hai

rahne den karam hum pe ki ye jaan hamari
hamdardiyon se aap ki ghabrai hui hai

tum phir se utha lae ho duniya ko kahan se
ye to meri sau bar ki thukrai hui hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close