zalzala aaya wo dil mein waqt ki raftar se khud-bakhud taswir teri gir padi diwar se chupke chupke khinchta jata hun kanton ka hisar main ki ab darne laga hun phul ki mahkar se hum bala-noshon ne zahr-e-agahi bhi pi liya chalte chalte hum bhi thokar kha gae kohsar se jin ko aankhon se lagaya jin ko ro ro kar padha hae wo khat bhi nazar aane lage bekar se dida-e-yaqub har chehre mein hai girya-kunan hum bahut ukta gae hain misr ke bazar se hum se shikwa kar raha tha aaj daman-e-tahi tod lae mah-o-anjum fikr ke gulzar se 'nur' sahab khul na jae tark-e-ulfat ka bharam aap ki khamoshiyon se aap ke ashaar se