jis ja nasim shana-kash-e-zulf-e-yar hai

jis ja nasim shana-kash-e-zulf-e-yar hai
nafa dimagh-e-ahu-e-dasht-e-tatar hai

kis ka suragh jalwa hai hairat ko ai khuda
aaina farsh-e-shash-jahat-e-intizar hai

hai zarra zarra tangi-e-ja se ghubar-e-shauq
gar dam ye hai wusat-e-sahra shikar hai

dil muddai o dida bana muddaa-alaih
nazzare ka muqaddama phir ru-ba-kar hai

chhidke hai shabnam aaina-e-barg-e-gul par aab
ai andalib waqt-e-wada-e-bahaar hai

pach aa padi hai wada-e-dil-dar ki mujhe
wo aae ya na aae pe yan intizar hai

be-parda su-e-wadi-e-majnun guzar na kar
har zarra ke naqab mein dil be-qarar hai

ai andalib yak kaf-e-khas bahr-e-ashyan
tufan-e-amad aamad-e-fasl-e-bahaar hai

dil mat ganwa khabar na sahi sair hi sahi
ai be-dimagh aaina timsal-dar hai

ghaflat kafil-e-umr o 'asad' zamin-e-nashat
ai marg-e-na-gahan tujhe kya intizar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close