kitne aish se rahte honge kitne itraate honge

kitne aish se rahte honge kitne itraate honge
jaane kaise log wo honge jo us ko bhate honge

sham hue khush-bash yahan ke mere pas aa jate hain
mere bujhne ka nazzara karne aa jate honge

wo jo na aane wala hai na us se mujh ko matlab tha
aane walon se kya matlab aate hain aate honge

us ki yaad ki baad-e-saba mein aur to kya hota hoga
yunhi mere baal hain bikhre aur bikhar jate honge

yaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat banhon ka
wo jo simatte honge un mein wo to mar jate honge

mera sans ukhadte hi sab bain karenge roenge
yani mere baad bhi yani sans liye jate honge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close