jis jagah jama tere khak-nashin hote hain ghaaliban sab mein numudar hamin hote hain dard-e-sar un ke liye kyun hai mera ijz-o-niyaz mere sajdon se wo kyun chin-ba-jabin hote hain un ki mahfil se tasawwur ka talluq hai hamein aankh kar lete hain jab band wahin hote hain tere jalwon ne mujhe gher liya hai ai dost ab to tanhai ke lamhe bhi hasin hote hain etikaf in dinon hai farz suna hai 'simab' ramazan aa gae mai-khana-nashin hote hain