sab thakan aankh mein simat jae nind aa jae raat kat jae ru-ba-ru hon to guftugu bhi karen kaun aawaz se lipat jae wahm ye hai ki band darwaza dekh kar hi na wo palat jae sikh dariya se koh-paimai koi kyun raste se hat jae kaun marega dusra patthar koi surat ki dard bat jae main hawa hun ki chal raha hun hanuz arsa-e-dahr hi na kat jae be-dili khilat-e-nadamat hai ek bala hai agar chimat jae apne chehre ko dhanp dhanp ke rakh aaina gard se na at jae