kuchh qadam aur mujhe jism ko dhona hai yahan sath laya hun usi ko jise khona hai yahan bhid chhat jaegi pal mein ye khabar udte hi ab koi aur tamasha nahin hona hai yahan ye bhanwar kaun sa moti mujhe de sakta hai baat ye hai ki mujhe khud ko dubona hai yahan kya mila dasht mein aa kar tere diwane ko ghar ke jaisa hi agar jagna sona hai yahan kuchh bhi ho jae na manunga magar jism ki baat aaj mujrim to kisi aur ko hona hai yahan yun bhi darkar hai mujh ko kisi binai ka lams ab kisi aur ka hona mera hona hai yahan ashk palkon pe saja lun main abhi se 'shaariq' shab hai baqi to tera zikr bhi hona hai yahan