jis ka koi bhi nahin us ka khuda hai yaro main nahin kahta kitabon mein likha hai yaro mud ke dekhun to kidhar aur sada dun to kise mere mazi ne mujhe chhod diya hai yaro is saza se to mera ji hi nahin bharta hai zindagi kaise gunahon ki saza hai yaro shab hai is waqt koi ghar na khula paoge aao mai-khane ka darwaza khula hai yaro koi karta hai duaen to ye jal jata hai mera jiwan kisi mandir ka diya hai yaro main andhere mein rahun ya main ujale mein rahun aisa lagta hai koi dekh raha hai yaro haal ka zakhm to mazi se bahut gahra hai aaj zakhmi mera saya bhi hua hai yaro intizar aaj ke din ka tha badi muddat se aaj us ne mujhe diwana kaha hai yaro