wo mahakta hai jo khushbu ke hawalon ki tarah is ko rakkha hai kitabon mein gulabon ki tarah wo jo khwabon ke jazire mein nazar aata hai mere idrak mein rahta hai kinaron ki tarah ban ke ehsas jo dhadkan se lipat jata hai sath rahta hai mohabbat mein khayalon ki tarah dekhna khwab ki surat mein nazar aaega wo jo palkon pe chamakta hai sitaron ki tarah main ne khushbu ke libaade mein jise chuma tha meri har sans mein shamil hai wo phulon ki tarah wo mere sher ka ek misra-e-tar ho jaise gungunati hun use aaj main giton ki tarah itni achchhi thi mulaqat ki pahle din hi dil mein 'afroz' basaya use sochon ki tarah