jo rah-e-mulaqat thi so jaan gae hum ai khizr-e-tasawwur tere qurban gae hum jamiyyat-e-husn aap ki sab par hui zahir jis bazm mein ba-haal-e-pareshan gae hum us ghar ke tasawwur mein jun hi band kin aankhen sad-shukr ki be-minnat-e-darban gae hum kal waqif-e-kar apne se kahta tha wo ye baat 'jurat' ke jo ghar raat ko mehman gae hum kya jaaniye kam-bakht ne kiya hum pe kya sehr jo baat na thi manne ki man gae hum