jo sunte hain to main mamnun hun un ki inayat ka kahun kya ab ki mauqa hi nahin baqi shikayat ka naya mazmun kya hota wo khat mein aur kya likhte wahi aaya hai jo likkha hua tha apni qismat ka hamein to aap ki bebakiyon se dar hi rahta hai nahin malum kis din waqt aa jae nadamat ka nazar aata nahin ab ghar mein wo bhi uf re tanhai ek aaine mein pahle aadmi tha meri surat ka thake ahbab aakhir har tarah 'natiq' ko samjha kar asar minnat samajat ka na kuchh lanat malamat ka