munsif ho bhala hukm suna kyon nahin dete mujrim hun agar main to saza kyon nahin dete diwar khadi ho gai nafrat ki bahar-su arbab-e-wafa is ko gira kyon nahin dete wo khugar-e-dushnam jo aflak-nashin hain auqat kabhi un ki bata kyon nahin dete kuchh der ke hi waste hoga to ujala in jhonpadon mein aag laga kyon nahin dete phir koi tsunami ki sada gunj rahi hai khwabida hain jo log jaga kyon nahin dete ratti rahi bete ki judai pe shab-o-roz tum shakl zara man ko dikha kyon nahin dete is se to faqat zakhm hara hota hai 'anjum' farsuda hikayat bhula kyon nahin dete