jo husn tujh mein hai wo akhtar-o-qamar mein nahin teri misal ka koi meri nazar mein nahin ye mana raat hui khatm subh to aai sahar ka husn magar aaj kyon sahar mein nahin sabab jo baat bani us ki sarfaraazi ka wo baat zarra barabar bhi rahbar mein nahin mata-e-dard ata kar ai nawak-e-mizhgan chubhan wo pahli si mere dil-o-jigar mein nahin kamal-e-azm ki hamrah raushni hai 'riyaz' kisi tarah ka bhi khatka mujhe safar mein nahin