ye zarurat hai to phir is ko zarurat se na dekh apni chahat ko kisi aur ki chahat se na dekh tujh mein aur mujh mein koi farq nahin hai lekin tu sharafat ko meri apni sharafat se na dekh mujh ko ho jaegi ab mujh se hi nafrat warna ai meri jaan mujhe itni mohabbat se na dekh hans ke har bojh zamane ka utha leta hun main hun mazdur mujhe itni hiqarat se na dekh ham-nashini ka sharaf sab ko kahan milta hai tere pahlu mein jo baitha hun to hairat se na dekh husn-bini ke bhi aadab hua karte hain us ke chehre ki taraf itni jasarat se na dekh us se manga hai kahan main ne koi harf-e-qisas mere qatil se ye kah mujh ko nadamat se na dekh