kahan kisi ka banaya hua banate hain naya banate hain jab hum naya banate hain kisi ka naqsh banate hain lauh-e-dil par hum kisi ka aks sar-e-aina banate hain naya banane ki hasrat kabhi nahin marti nae sire se nae ko naya banate hain main ek zamin hun amn-o-aman ki mutlashi mere aziz mujhe karbala banate hain hamari dasht-nawardi ko gumrahi na samajh bhatakne wale naya rasta banate hain kahin bhi jaen kisi shahr mein sukunat ho hum apni tarz ki aab o hawa banate hain zaminen tang hui ja rahi hain dil ki tarah hum ab makan nahin maqbara banate hain talab jo log qanaat-pasand hote hain wo zindagi ko kahan masala banate hain