yun tumhaare na-tawan-e-shauq manzil bhar chale khai thokar gir pade gir kar uthe uth kar chale chhod kar bimar ko ye kya qayamat kar chale dam nikalne bhi na paya aap apne ghar chale ho gaya sayyaad barham ai asiran-e-qafas band ab ye nala-o-fariyaad warna par chale kis tarah tai ki hai manzil ishq ki hum ne na puchh thak gae jab panw tera nam le le kar chale aa rahe hain ashk aankhon mein ab ai saqi na chhed bas chhalakne ki kasar baqi hai saghar bhar chale jab bhi khali hath the aur ab bhi khali hath hain le ke hum duniya mein kya aae the kya le kar chale husn ko ghamgin dekhe ishq ye mumkin nahin rok le ai shama aansu ab patinge mar chale is taraf bhi ek nazar hum bhi khade hain der se mangne wale tumhaare dar se jholi bhar chale ai 'qamar' shab khatm hone ko hai chhodo intizar sahil-e-shab se sitare bhi kinara kar chale