kaam aati nahin ab koi tadbir hamari hum se hai khafa sahibo taqdir hamari aata hi nahin baz kabhi kar-e-ziyan se pani pe banata hai wo taswir hamari ab sar pe thaharti nahin dastar-e-shujaat khud apna lahu piti hai shamshir hamari hum khana-kharabi ke asar se nahin nikle puri na hui hasrat-e-tamir hamari ab ru-ba-ru aati hi nahin subh-e-masarrat talti hi nahin hai shab-e-dil-gir hamari har shakhs haqarat se hamein dekh raha hai koi bhi batata nahin taqsir hamari wo gosha-e-tanhai mein padhta hai shab o roz us ke waraq dil pe hai tahrir hamari gumrah na hone diya sabit-qadami ne shaista-e-tahzib hai zanjir hamari hum wajd mein dube rahe aur ret ki surat mutthi se sarakti rahi jagir hamari be-tab-o-tawan zinat-e-diwar hai 'akhtar' ab larza-bar-andam hai shamshir hamari