na khatra tirgi se tha na khatra tirgi ka hai dar-o-diwar pe pahra abhi tak raushni ka hai naha kar khun mein kanton pe aksar raqs karta hun ye masti be-khudi ki hai ye nashsha zindagi ka hai hai aakhir kis liye qazzaq-e-gham paiham taaqub mein tasarruf mein hamare kya koi lamha khushi ka hai milun kis taur main khud se tashakhkhus kis tarah dhundun yahan to aaina-dar-aina chehra usi ka hai ye socha hai ki chal kar doston ke dar pe dastak dun irada aaj apne aap se kuchh dushmani ka hai meri aankhon ko nisbat hai kisi khurshed paikar se na ye shokhi ana ki hai na ye partaw khudi ka hai yaqin aasar lamhon par jo sach puchho to raaz ab tak hukumat wahm hi ki hai tasallut khwab hi ka hai