jis kun dard-e-jigar ki lazzat hai zahar us kun misal-e-amrat hai dekh tujh naz ki nazakat kun nighat-e-gul shahid-e-hairat hai kam-numai sin us qamar-ru kun mah-e-nau ki misal shohrat hai meri aankhon mein yar ki taswir aks-e-aina-e-mohabbat hai jhanjh mein kyun na aawe dil mera tujh judai ki mujh ko naubat hai kya chuka bu hai zulf mein teri aarsi jis kun dekh chakrat hai wasl mein iztirab jata nahin sau qaran mujh kun ek saat hai misl-e-aina kar namad-poshi safi-e-sina tark-e-zinat hai phir patangon ka shor uttha 'siraj' jalwa-e-shama-ru qayamat hai