teri aankhon se apni taraf dekhna bhi akarat gaya yani pahchan ka ye naya silsila bhi akarat gaya yun hinai lakiren udin ajnabi taeron ki tarah par-burida sa rang-e-kaf-e-sad-hina bhi akarat gaya ab khula hai ki mera tere rang mein tere andaz mein bolna hi nahin dekhna sochna bhi akarat gaya sun raha hun abhi tak main apni hi aawaz ki bazgasht yani is dasht mein zor se bolna bhi akarat gaya wo zulekhai khwahish hi apne sabab se pasheman na thi satwen dar ke andar mera hausla bhi akarat gaya koi lau tak na di kale pedon ko is aatishin raqs ne yani jangal mein us mor ka nachna bhi akarat gaya