zindagi maut ke pahlu mein bhali lagti hai ghas is qabr pe kuchh aur hari lagti hai roz kaghaz pe banata hun main qadmon ke nuqush koi chalta nahin aur ham-safari lagti hai aankh manus-e-tamasha nahin hone pati kaisi surat hai ki har roz nai lagti hai ghas mein jazb hue honge zamin ke aansu panw rakhta hun to halki si nami lagti hai sach to kah dun magar is daur ke insanon ko baat jo dil se nikalti hai buri lagti hai mere shishe mein utar aai hai jo sham-e-firaq wo kisi shahr-e-nigaran ki pari lagti hai bund bhar ashk bhi tapka na kisi ke gham mein aaj har aankh koi abr-e-tahi lagti hai shor-e-tiflan bhi nahin hai na raqibon ka hujum laut aao ye koi aur gali lagti hai ghar mein kuchh kam hai ye ehsas bhi hota hai 'salim' ye bhi khulta nahin kis shai ki kami lagti hai