jis mein ek husn-e-tawazun ho wo nudrat di jae kya qabahat hai agar fikr ko wusat di jae mashware qabil-e-taslim tere hain ki nahin ghaur karne ke liye kuchh mujhe mohlat di jae maslahat jhut pe insan ko mail kar de is qadar sakht na ta'zir-e-sadaqat di jae is amal se dil-e-fankar pe kya guzregi le ke mahtab agar shama ki qimat di jae sakht mushkil hai ghalat baat pe qail karna ek do hon to unhen fahm-o-basirat di jae baat to jab hai ki mamnun-e-bahaaran hon sabhi phul to phul hain kanton ko bhi nuzhat di jae chaara-e-gham ke liye shart hai ikhlas 'nasir' kaun hai shahr mein aisa jise zahmat di jae