'manzur' lahu ki bund koi ab tak na meri bekar giri ya rang-e-hina ban kar chamki ya pesh-e-sailb-o-dar giri auron pe na jaane kya guzri is tegh-o-tabar ke mausam mein hum sar to bacha lae lekin dastar sar-e-bazar giri jo tir andhere se the chale wo sarhad-e-jaan ko chhu na sake chalta tha main jis ke sae mein gardan pe wahi talwar giri kya jaaniye kaisi thi wo hawa chaunka na shajar patta na hila baitha tha main jis ke sae mein 'manzur' wahi diwar giri