laghzish se rahnumaon ki jab hum sanbhal gae

laghzish se rahnumaon ki jab hum sanbhal gae
manzil qarib aai to raste badal gae

har rah-rau se tera pata puchhte hue
hum rah-e-dair-o-kaba se aage nikal gae

phuti hai jab bhi tere tabassum ki ek kiran
ghabra ke khud-bakhud hi andhere pighal gae

rindan-e-tishna-kaam ko ab mai se kya gharaz
saqi ki chashm-e-mast se jab daur chal gae

ab bhi jabin-e-zist pe faqon ki hai shikan
mana ki zindagi ke taqaze badal gae

un ke nuqush-e-pa ka ye eajaz dekhiye
zarre mah-o-nujum ke sanche mein dhal gae

jab bhi nikhar gaya mere sheron ka bankpan
ai dost fikr-o-fan ke kai dip jal gae

aisi chalin hawaen hawadis ki ai 'nishat'
afsana-e-hayat ke unwan badal gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close