jis ne rakkha hai hamesha nafraton ke darmiyan wo dhadakta phir raha hai dhadkanon ke darmiyan zindagi ko ghaur se dekha to mujh ko yun laga ek tawaif jis tarah ho manchalon ke darmiyan us harim-e-naz se shikwa kiya tha ek din manzilen bikhri padi hain raston ke darmiyan bebasi si bebasi hai kya kahen kis se kahen main to pyasa mar raha hun baadalon ke darmiyan na-rasai ka ye dukh to mar dalega mujhe kasmapursi ka saman hai chahaton ke darmiyan 'mir' ke lahje mein ghazlen kah raha hun aaj bhi nam kuchh kuchh ban raha hai ghaalibon ke darmiyan pyar ke sare manazir dhundlakon mein dhal gae kuchh kami si rah gai thi rabton ke darmiyan zindagi ke is bhanwar se kaun nikle dekhiye che-mi-goiyan ho rahi hain be-bason ke darmiyan sar pe chhat na saeban hain bebasi to dekhiye kaghzi ek pairahan hai barishon ke darmiyan fakhta zaitun ki shakhon par mari jaegi faisla ye ho chuka hai zalimon ke darmiyan doston rahne bhi do jhuti tasalli kis liye waqt achchha kat raha hai mushkilon ke darmiyan wo akela hai aur us ke chahne wale bahut jang hone ja rahi hai aashiqon ke darmiyan dushmanon se kah diya hai fikr meri chhod den main khada hun aaj bhi kuchh doston ke darmiyan kis tarah 'daem' katega be-yaqini ka safar mashwara ye ho raha hai qafilon ke darmiyan