jis par dil rota hai wo bhi hans kar karna padta hai apne ghar ki raunaq ko khud be-ghar karna padta hai achchhe achchhe dab jate hain rasm-e-zamana ke aage dekh ke chup rahte hain dil ko patthar karna padta hai aane wale din ki fikren khwabon ko das leti hain nind se jalti aankhon ko be-manzar karna padta hai chahne aur chahe jaane ki khwahish jurm nahin lekin ruswai ko apne sar ki chadar karna padta hai aise mod pe aa jati hai badhte badhte baat kabhi phul se lahje ko majburan khanjar karna padta hai raat parae des mein kati to ye bhi malum hua hath ko takiya aur zamin ko bistar karna padta hai ji kahta hai rad kar dun main aise khwabon ko 'masum' jin ki tabiron par matam aksar karna padta hai