jis rah mein pech-o-kham nahin hai us rah pe kyon haram nahin hai chalna hai hum ko chal rahe hain manzil kya har qadam nahin hai sajda wo hai ba-rabb-e-kaba jis ko qaid-e-haram nahin hai sari khilqat hai sar jhukae ek is gardan mein kham nahin hai jannat kya hai hawas ka dhoka kya hogi khushi ki gham nahin hai sajda hai karishma-e-tasawwur mat kah ki khuda sanam nahin hai