nadi pahaD ghane jangalon mein charcha tha

nadi pahad ghane jangalon mein charcha tha
wo be-gunah shajar be-libas kitna tha

mili thi shakh-e-samar nur-e-jism-o-jaan ke liye
jise wo hath laga kar bujha bujha sa tha

tamam umr dil-o-jaan muraqabe mein rahe
latif-tar lab-o-rukhsar ka wazifa tha

kuchh is tarah saf-e-sayyargan hui barham
phir is ke baad na suraj tha aur na saya tha

jahan pe khak-e-bayaban khiram karti hai
wahan pe takiya-e-mahtab tha daricha tha

nai shariat-e-jamhur basne wali thi
nae ufuq se wo 'khurshid' ugne wala tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close