jis se bezar rahe the wahi dar kya kuchh hai ghar ki duri ne ye samjhaya ki ghar kya kuchh hai shukr karta hun khuda ne mujhe mahsud kiya ab main samjha ki mere pas hunar kya kuchh hai raat-bhar jag ke kate to koi meri tarah khud-ba-khud samjhega wo pichhla pahar kya kuchh hai koi jhonka nahin sanka chaman-e-rafta se koi sun-gun nahin yaron ki khabar kya kuchh hai nigaran su-e-zamin dida-e-aflak hai aaj jada-e-waqt pe mitti ka safar kya kuchh hai jaise qismat ki lakiron pe hamein chalna hai kaun samjhega teri rahguzar kya kuchh hai waraq-e-gul pe hai tahrir si donon jaanib hum ne kya dekha udhar jaane udhar kya kuchh hai chal pade subh-e-azal 'shaz' ishaare pe tere hum ne socha hi nahin rakht-e-safar kya kuchh hai