pan ki surKHi nahin lab par but-e-KHun-KHwar ke

pan ki surkhi nahin lab par but-e-khun-khwar ke
lag gaya hai khun-e-ashiq munh ko is talwar ke

khal-e-ariz dekh lo halqe mein zulf-e-yar ke
mar-e-mohra gar na dekha ho dahan mein mar ke

anjum-e-taban falak par jaanti hai jis ko khalq
kuchh sharare hain wo meri aah-e-atish-bar ke

tuba-e-jannat se us ko kaam kya hai hur-wash
jo ki hain aasuda sae mein teri diwar ke

puchhte ho haal kya mera qimar-e-ishq mein
jhad baitha hath main naqd-e-dil-o-din haar ke

ye hui tasir ishq-e-koh-kan se sang-e-ab
ashk jari ab talak chashmon se hain kohsar ke

hai wo be-wahdat ki jo samjhe hai kufr o din mein farq
rakhti hai tasbih rishta tar se zunnar ke

wada-e-didar jo thahra qayamat par to yan
roz hoti hai qayamat shauq mein didar ke

hoshiyari hai yahi kije 'zafar' is se hazar
dekhiye jis ko nashe mein baada-e-pindar ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close