jis se ye tabiat badi mushkil se lagi thi dekha to wo taswir har ek dil se lagi thi tanhai mein rote hain ki yun dil ko sukun ho ye chot kisi sahab-e-mahfil se lagi thi ai dil tere aashob ne phir hashr jagaya bedard abhi aankh bhi mushkil se lagi thi khilqat ka ajab haal tha us ku-e-sitam mein sae ki tarah daman-e-qatil se lagi thi utra bhi to kab dard ka chadhta hua dariya jab kashti-e-jaan maut ke sahil se lagi thi